Danielji! jo kitaaben aapne kharidi hain ve bahut achchhi hain. Premchand kaa godaan hindi saahity ka sabse mashhuur upanyaas hi hai aur Umrao Jaan urdu saahity kaa sabse mashhuur upanyaas hai. Par shaayad ve padhne men kaafi aasaan nahin honge.
Hindi vyaakaran (grammar) aur abhyaas ki kitaaben jo aapke paas hain ve bhi achchhi hain.
shayad padhne ke liye kuch aasaan bhi lena chaahiye, jaise ki bachchon ki kitaaben ya kahaaniyon ki kitaaben...
|